Chai :-
Ky kahu me chai ke tarif me jiski tarif puri duniya krti hy
Kese baya kru me vo nasha jo puri duniya krti hy
subah ki vo garam chai fir chahe ho chai nukkad ki hi kyu naa ho pr usse pine ke bad ak alag mi mjha atta hy ak alg hi ahesas hota he dill ko shanti milti hy subah chai pine se din ki shuruaat achi hoti hy kyu ki chai pine se jo tajgi, spurti, or naya pn milta hy vo or kuch pine se nhi milta chai hamari zindagi ka ak ahem hissa hy vo log bhi bahot ahem hy hamare liye jo har subah hamri iss chai se mulakat kravte hy .
kya aap ne kabhi socha hai agar chai na hota to subah ki shuruaat kaise hoti?
bahut se logo ke din ki shuruaat garama-garam chai se hi hoti hain, aise logo ko agar din ki shuruaat mein achchhee chai nahi mile n to unaka poora din bekaar jaata hain. logo ka maanana hain aur yah sahi bhi hain ki saath mein baithakar chai pine se pyaar badhatee hain. kuchh khaas maukon par to chai pine ka ek alag hi maza hain. jaise baarish ka mausam ho, ya thandi ka mausam ho baarish ke mausam me chai ke saath mein pakaude khaane ko mil jaaye to baat hi baan jati hy.
"ishq aur subah ki chai
donon ak samaan hotee hain
har baar vahee nayaapan
har baar vahee taazagee"
Ye kuch labz hy hamare chai ki tarif me
Chai tu bhi kamal kar jati hai
Tujhe pine se pure din ki
thakan dur jo ho jatti hai
Gajab ka swad hai tera,
Jo har dil ko bha jata hai !
Ghar ate hi teri yaad aa ajati hai ,
sardiyon me to tu mejhe baahot hi bhati hai
aur yadi mousam ho barish ka to pakodo ke
sath tere kya hi kahne
Chai... Tu bhi kamal kar jati hai.
Comments
Post a Comment